feedburner
Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

feedburner count

Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon

Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta hai
Andherii raat mein jaise
Achaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta hai
Aur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati hai
Aur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati hai
To khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin rukti
Ussi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta hai
Tumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehle
Kisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo mein
Kisi soche joe benaam lamhe ki khushboo mein
Kisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo mein
To iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rasta
Najaane kis taraf phuut-ta hai

Aur phir aise mein mere hamraah chalta hai
Ke aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hain
Dhanak ki kehkashaaein sii
Tumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hain
Ke jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hain
Tumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta hai
To dil abaad hota hai
Mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai